Wednesday, November 02, 2011

Ik rishta banaaya inn aankhon ne


Ik rishta banaaya inn aankhon ne,
Mujhe dil tak pahuchaya inn aankhon ne,
Main yaad karun unn sapnon ko,
Jinhe sach kar dikhaaya inn aankhon ne.

Honth to ab tak hile na they,
Haath haath se mile na they,
Chupke se sab samjhaaya inn aankhon ne.

Dhadkan ke saaz bas baje hi the,
Saanso ko lay sang rache hi the,
Pyar ka sundar geet banaaya inn aankhon ne.

Inn aankhon ka ab kya kehna,
Bas inmey hai ab khoya rehna,
Hamey jeena sikhaaya inn aankhon ne.

0 comments:

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...